Gmail aj ke time me ek popular mailing product ban chuka hai jo har koi aj kal use kar rha hai aur iska proper benefit bhi utha rha hai. Gmail ka use maximum people isliye krte hai kyoki gmail hamari id ko high security provide karwata hai aur hamare password ko safe rkhta hai. Agar ap bhi web par ye search kar rhe hai ki Gmail ki id ka password kaise change krte hai to ap bilkul shi post par aye hai. Aj mai apko bataunga ki kaise ap apni email id ka password change kar skte hai wo bhi bilkul asan tarike se.
Gmail id ka password change krne ka tarika :-
- Sabse pehle apko apna phone open krna hai aur gmail app par jana hai.
- Gmail app par jane ke baad apko sabse upar diye gye sidebar ke option ko click karna hai aur apka sidebar open ho jayega.
- Sidebar open ho jane ke baad apko neeche scroll krna hai aur setting wale option par click krna hai.
- Setting ke option par click krne ke baad apke samne list of id's open ho jayegi jo bhi aapne apne phone me register kar rkhi hongi apko jis bhi id ka password change krna hai ukso click kar dena hai.
- Id par click krne ke baad apko sabse upar diye hue My account ke option ko click krna hai jisse ke ap apne personal gmail data ko dekh sakenge.
- Google Account par aa jane ke baad apko upar diye hue Personal info wale option par click krna hai jisme ap apna personal data dekh sakenge.
- Personal Info ke option ko click krne ke baad apko neeche scroll krna hai aur password ke option ko select kar dena hai.
- Password ke option ko select krne ke baad apse apka gmail password poocha jaeyga security reasons ki wajah se isliye apko apna email id ka password usme enter krke next option par click kar dena hai.
- Uske baad apke samne new screen open ho jaeygi jha par ap apni gmail id ka password change kar sakoge sabse pehle apko jo bhi new password apni id ke liye banana hai wo apko new password wale option me likh dena hai. Same new password apko neeche confirm password me bhi likh dena hai aur change password wale option par click kar dena hai.
Ye to tha Gmail id ka password change karne ka phela tarika jo todha lengthy tha but gmail id ka password change karne ka ek aur tarika bhi hai jo mai abhi apko bataunga.
Email id ka password kaise change kare :-
- Sabse pehle apko apna phone open kar lena hai aur google par search krna hai how to change gmail password.
- Search karne ke baad apko sabse pehle link par click krna hai aur jis bhi id ka ap password change karna chahte hai usse upar se select kar lena hai.
- Gmail id select krne ke baad apko apni id ka password dalna hai security reasons ki wajah se.
- Gmail id ka password dalne ke baad direct apko apna new password enter kar dena hai aur confirm password me bhi new password enter kar dena hai aur change password ke option par click kar dena hai aur apki id ka password change ho jayega.
CONCLUSION -
To bas yhi tha tarika email id ke password ko change karne ka agar apko gmail id create krni nhi ati to ap hamari is post ko dekh skte hai gmail id kaise banaye. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki gmail id ka password kaise change krte hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें