Paytm se metro card online recharge kaise kare || Metro card recharge kaise kare online - New Tips and Tricks

Latest

रविवार, 4 अप्रैल 2021

Paytm se metro card online recharge kaise kare || Metro card recharge kaise kare online

Metro ke ane ke baad sabse jaida benefit kisi ko hua hai to wo hai janta because ab logo ko baar baar transport change nhi karna padta ek jagah se dusri jagah jane ke liye Metro ki wajah se log khi bhi aram se jaa skte hai wo bhi bilkul nominal price me. Magar kya apko pta hai ki metro card ka istemal karne se apka fare (Kiraya) kam lagata hai as compare to agar ap token se safar karte hai to. Metro card apko kisi bhi station par mil jayega bas apko recharge window par jake metro card lena hai aur 150 ruppees denkar apko apka metro card mil jayega jisko ap online recharge bhi kar skte hai. Aj mai apko is post me bataunga ki kaise ap Paytm se metro card online recharge kar skte hai.



Paytm-se-recharge-kaise-kare




Paytm se metro card recharge kaise kare :-


  • Sabse pehle apko apna phone open karna hai aur Paytm app par jana hai agar apne apna paytm account nhi bna rkha hai to jldi se apna bank me register number daal ke sign in karle taki ap paytm se metro card recharge kar ske.


  • Paytm open hone ke baad apko upar diye hue search ke option ko click karna hai aur usme type karna hai Recharge & Pay Bills ukse baadd apko  Recharge & Pay Bills option select kar lena hai.


  • Recharge & Pay Bills option select karne ke baad apko metro option ko select kar lena hai agar apko metro option nhi mil rha hai to screen ko slide karke dekhe shyd metro option 2nd ya phir 3rd slide me hoga.



Metro-card-recharge-kaise-kare-online




  • Metro option select karne ke baad apko Smart Card Recharge option ko select kar lena hai jo apke samne apko screen par dikai de rha hoga.


  • Smart Card Recharge option ko select karne ke baad apke samne jo screen open hogi usme apko details fill up karni hai. Metro wale option par click karke apko wo area select krna hai jha ka apka metro card hai like agar apka card delhi ka hai to apko Delhi metro select krna hai.


  • Metro select krne ke baad apko 3rd number par apne card ka number daalna hai jo ki apke card par likha hoga.


  • Metro card number daalne ke baad apko amount enter karna hai jitne ka bhi ap apne metro card me recharge karna chahte hai aur uske baad proceed par click kar dena hai.


  • Proceed option select krne ke baad apke samne ek screen pop up hogi jisme apko bataya hua hai ki apko recharge karne ke baad metro station par jana hai aur wha apna card TOP-UP karna hai AVM machine me jo ap kisi se bhi pooch skte hai metro station me uske baad apke card me recharge kare hue paise aa jayenge. 


  •  Apko ok click kar dena hai aur payment ke option par aa jana hai aur Procced to Pay wale option par click kar dena hai aur uske baad ap kisi bhi tarike se payment kar skte hai like Paytm wallet, ATM ya phir aur bhi kisi tarike se ukse baad apka card recharge ho jayega.



Note -- Paytm se recharge karne ke baad TOP-UP karana na bhule warna apke paise card me nhi ayenge isliye metro station par jake TOP-UP jaroor kar le AVM machine me.



Conclusion -

To yhi tha tarika Paytm se metro card online recharge karne ka jo ki bilkul asan tha agar apko aur koi aur recharge bhi karne me dikkt aa rhi hai to hamari is post ko dekhe Paytm se recharge kaise kare. Hope karta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki kaise ap Paytm se metro card online recharge kar skte hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें