What are the benefits of Ashwagandha in hindi? || Ashwagandha benefits in Hindi || Ashwagandha ke benefits kya hai - New Tips and Tricks

Latest

रविवार, 11 अप्रैल 2021

What are the benefits of Ashwagandha in hindi? || Ashwagandha benefits in Hindi || Ashwagandha ke benefits kya hai

Ashwagandha naam me hi iska meaning chupa hua hai Ashwa means Horse and gandha means smell iska matlab horse jaisi smell. Ashwagandha ka istemal purane jamane se hi hota aya hai magar medical science me ashwagandha ke bare me apko jaida knowledge nhi milegi because ashwagandha par abhi bhi medical science me research chl rhi hai aur ashwagandha ke bare me poori jankari nikalne ki kosis jari hai. Aswagandha ek hara bhara plant hota hai jo India aur some parts of Africa me paya jata hai. Pehle jamane se hi Aswagandha ki root aur uska fruit logo ko thik krne ke kaam ata rha hai.


Ashwagandha ka use log kafi cheezo me krte hai like stress level kam krne ke liye , heart diseases se bachne ke liye, normal cough se bachne ke liye. Kafi logo ka manna hai ki Ashwagandha cancer jaisi badi bimari ki bhi theek krne me isteaml kiya jata hai magar is baat ke upar abhi research jari hai aur pta lagaya jaa rha hai ki ashwagandha sach me cancer jaisi bimari ko theek kar skta hai ya phir nhi.



Ashwagandha-benefits-in-Hindi





Aswagandha ka use waise Ayurvedic medicine me jaida kiya jata hai as compare to modern medical science. Ashwagandha ko ayurvedic science me Rasayan bhi kha gya hai jiska matlab hai ki ashwagandha hamari body ko maintain rkhta hai both mentally aur physically.


Ashwagandha waise to kafi diseases aur conditions me helpful hai but kuch main conditions jisme ashwagandha helpful hai wo neeche likhe hai :-


  • Stress
  • Fatigue
  • Anxiety
  • pain
  • Skin diseases
  • Diabetes


Upar di hui sari condition me Aswagandha ki root hi nhi istemal hoti but different parts of ashwagandha istemal me liya jata hai like leaves, fruits, stems etc. Aj mai apko is post me btaunga ki ashwagandha ke benefits kya hai wo bhi full details ke sath.





Benefits of Ashwagandha 


  • Ashwagandha and Stress -  

Approx 2000 studies me paya gya hai ki  ashwagandha ki jadi-buti me dimag ko shant karne ki shakti hoti hai jiske wajah se hamara Stress aur anxiety level kam ho jata hai.

Researchers ki mane to approx 240 mg ashwagandha hamare stress level ko kam karne me efficient hai. Ap chahe to ashwagandha ko Tea me daal kar bhi pee skte hai aur iska full benfit utha skte hai.


  • Ashwagandha and Heart diseases - 

Kafi log ashwagandha ko heart diseases ke khatre ko kam karne ke liye bhi lete hai aur apne heart ki performance ko consistent rkhne ke liye bhi ashwagandha ka istemal krte hai. Ashwagandha se ap high blood pressure , high cholesterol par control kar skte hai.

2015 ki study se pta chlta hai ki ashwagandha root heart diseases  ko control karne me helpful hai isliye old age people ko ashwagandha jaroor lena chaiye.


  • Ashwagandha and fatigue -

Ashwagandha ka istemal karne se ham apne poore din ki fatigue par kabu paa skte hai. Ashwagandha ki jadi-buti hamari body ko boost krti hai jisse hamari din bhar ki fatigue kam ho jati hai aur ham wapas se kaam kar paate hai.


  • Ashwagandha and Blood pressure - 

Ashwagandha ka isteaml karke ham high blood pressure ko control kar skte hai aur apni body ko relax kar skte hai. Tea ke sath ashwagandha peene se bhi high blood pressure kam ho jata hai.


  • Ashwagandha and Cough - 

Kafi log Ashwagandha ka istemal cough ke effect ko kam krne ke liye bhi peete hai because ashwagandha me ability hoti hai body me jo bhi virus ya phir bacteria hai unse fight krne ki.


  • Ashwagandha and Cancer - 

2011 ki study me paya gya hai ki ashwagandha cancer jaisi badi diseases me effective hai but abhi bhi iski poori pusti nhi hui hai research ka kaam abhi bhi jari hai. Ashwagandha body me cell ki growth ko kam krne me helful hai jisse ki cancer ka khatra kaam ho jata hai. Ashwagandha mainly lung cancer me jaida effective mana jata hai.




Ashwagandha-ke-benefits-kya-hai





How to take Ashwagandha?


Ashwagandha ka dosage har condition me alag hota hai some condition me low dosage bhi enough hota hai and some condition me high. Different studies se pta chla hai ki 250-600 mg per day ashwagandha stress aur anxiety level ko kam krne me effective hai. Magar other studies me isse bhi jaida dosage reccommend kiya jata hai.

Ashwagandha capsules ki form me bhi ata hai jisme per capsule 250-1500 mg ashwagandha hota hai. Ashwagandha liquid aur powder form me bhi ata hai jise ham market se buy kar skte hai apni need ke according. Waise hame doctor se ya phir proper studies ke baad hi apna dose lena chaiye warna jaida high dose ashwagandha lene se side effects bhi ho skte hai isliye hamesha healthcare professional se hi pooch kar ashwagandha le.






Side effects of Ashwagandha 


Ashwagandha ka Low aur medium level dose maximum time log bear kar lete hai aur in cases me side effect hone ke chances bohot kam hai aur in cases me Ashwagandha effective bhi hota hai aur hame benefit bhi krta hai.

High dose ashwagandha lene se studies ke according digestive problems, diarrhea jaisi diseases ka hone ka khatra rheta hai. Isliye meri maniye to health professional se pooch kar aur apni body ke according hi ashwagandha le warna side effects hone ka khatra bdh jata hai.



What-are-the-benefits-of-Ashwagandha




Summary 

Agar ham is puri post ki summary nikale to ye nikal ke ata hai ki ashwagandha hamari body ke liye beneficial hai aur ayurvedic medicine hone ke karn iske side effects bhi jaida nhi hai agar ham shi dose le to. Side effects ki baat kare to agar ham bina healthcare professional ke pooche ashwagandha lete hai to shyd ashwagandha opposite bhi work kar skta hai aur hamare liye problem bhi ban skta hai isliye hamesha professional se pooch kar hi ashwagandha le aur uske hisab se hi apna dose decide kare ki apko low level ashwagandha lena hai ya phir medium or high level. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki ashwagandha ke benefits kya hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें