Agar ap bhi sirf kaam ki email id's phone me rkhna chahte hai aur koi bhi extra gmail id apne phone me nhi rkhna chahte hai aur internet par search kar rhe hai ki phone se email id kaise remove kare to ap bilkul shi post par aye hai. Aj mai apko is post me batunga ki kaise ap phone me se Gmail id remove kar skte hai wo bhi bina koi software ya phir app download kare.
Note - Batane se pehle mai apko bta du ki apki id ek baar remove hone ke baad wapas tbhi milegi jab ap ako uska password yaad hoga to id delete krne se pehle ek baar dekh le ki apko uska password yaad hai ya nhi tbhi email id phone se remove kare.
Phone se gmail id remove karne ka Tarika :-
- Sabse pehle apko apna phone open karna hai aur settings wale option par jana hai.
- Setting wale option par jane ke baad apko Accounts option search krna hai agar apko Account option nhi milta hai to ap Users&Accounts option par bhi jaa skte hai.
- Account option par click krne ke baad apko google wale option par click krna hai kyoki apko gmail id remove karni hai aur gmail google ka hi product hai.
- Google option click krne ke baad apko jis bhi id ko remove krna hai usse select kar lena hai.
- Gmail id select krne ke baad apko neeche option milega remove ka bas apko uspe click kar dena hai aur apki gmail id phone se remove ho jayegi.
- Agar apke phone me sirf ek hi gmail id thi aur ap usko remove krna chahte hai to apko apne phone ka pattern ya phir pin dalna hoga security reasons ki wajah se uske baad apki email id phone se remove ho jayegi.
CONCLUSION -
To yhi tha tarika phone se email id remove krne ka agar apko jaana hai ki phone se gmail id kaise banate hai to hamari is post ko dekhe phone se gmail id kaise banaye. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur smjh aya hoga ki phone se gmail id kaise remove krte hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें