Top 10 addictive android games || Top 10 android games || Android games list in Hindi - New Tips and Tricks

Latest

मंगलवार, 4 मई 2021

Top 10 addictive android games || Top 10 android games || Android games list in Hindi

Top 10 addictive android games. Ajkal sabke pass android phone hota hi hai aur sab apna mood refresh krne ke liye usme games to khelte hi hai. Android games sach me kafi addictive hote hai agar ek baar ham unhe khelna shru krte hai to kafi baar hame pta hi nhi chlta aur sara time nikal jata hai. Aj mai apko 10 addictive android games ke bare me btaunga jo ham phele se khelte aa rhe hai aur jo apne time me famous bhi rhe hai.



Top-10-android-games








Top 10 addictive android games


  • PUBG - Number one par jo android game ata hai wo hai PUBG jo ki India me ban ho chuka hai PUBG India me 2018 me launch hua tha aur uske baad to iski popularity ruki hi nhi hai. Pubg ki popularity ka hisab ap audience se hi lga skte hai ki PUBG India me ban hai tb bhi log Pubg Korean version khelte hai. Pubg game ki baat kare to ye ek battle ground game hai jha par 100 players ek sath online compete krte hai aur last me 1 player winner hota hai.


pubg



  • Among Us - Among us ek online game hai jo ajakal kafi hype me hai jisme hame enemy ka pta lagana hota hai agar ham enemy ka pta nhi lga pate to enemy hame mar deta hai but enemy ke marne se phele agar ham task complete kar lete hai to ham game jeet skte hai. Among Us game ap Play store se download kr skte hai.


among-us



  • Free Fire - Free fire bhi ek online battle ground game hai jo ki bilkul similar sa hi hai PUBG ki tarah khelne me but Free Fire India me pehle launch hua tha isliye Free Fire aur PUBG ki audience me hamesha hi fight rheti hai because kuch log PUBG ko best mante hai to kuch log Free Fire ko.


free-fire



  • Ludo King - Next game ata hai Ludo king I am sure apne ye game bachpan me jaroor khela hoga aur ab shyd phone me bhi khelte honge. Ludo king ki popularity increase hui thi Lockdown period me jab Ludo King ke server bhi hang ho jate the aur logo ko wait krna padta tha unka number ane ke liye is baat se ap pta hi lga skte hai ki Ludo king ki popularity kitni high hai.


ludo-king



  • Candy Crush - Candy Crush bhi ek kafi addictive games me se ek hai jha par level by level agge badhe ki race hame is game ko khlene ke liye majboor krti rheti hai aur ham bhi level increase krne ke liye is game ko khelte hi rhete hai. Ap is game ko Play store se download kar skte hai.


candy-crush



  • Mini Militia - Mini Militia bhi ek fighting game hai jo ki PUBG se phele bohot popular hua tha aur bacche din bhar online is game ko khelte rhete the but PUBG ke ane ke baad is game me todhi girawat ayi hai but still game ab bhi kafi popular hai. Ap is game ko Play store se download kr skte hai.


mini-militia



  • Need for speed - Need for speed ek car racing game hai jo ki racing game khlene walo ko kafi pasand ata hai is game ki khas baat hai is game ke graphics jo is game ko kafi realistic banate hai aur logo ko khelene me kafi maza bhi ata hai.


need-for-speed



  • Subway Surfer - Subway surfer game to shyd ap mese kafi logo ne khela hi hoga because ye kafi popular game hai aur is game ko khelne me bhi kafi mazza ata hai but ek baat hai is game ka end shyd hi kisi ne ajtak dekha ho because ye game end hone ka naam hi nhi leta.


subway-surfer



  • Clash of Clans - Clash of clans bhi ek kafi popular game hai jo ki PUBG se pehle kafi popular tha aur aj bhi hai. Is game me apko apni team bna ke duri team se fight krni hoti thi aur unke land ko apna banana hota tha. Ap is game ko Play store se download kar skte hai.


clash-of-clans



  • Angry Birds - Angry birds apne time ka ek famous game hai jisme apko angry birds ki help se samne diye hue building ko girana hota tha aur us basis par apko points milte hai.  Ap is game ko Play store se download kar skte hai.


angry-birds




Conclusion -

To yhi the list top 10 addictive android games ki hope apko post pasand ayi hogi aur apko purane games yaad aa gye honge is list ke through jo ap pehle khela krte the. So that all for this post ap hame contact krke bhi bta skte hai ki apka favorite game kon sa tha jisse ap aj bhi khelte hai aur agge bhi khelte rhenge,

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें