English to Hindi typing online kaise kare ye questions kafi logo ke man me ata hi hai agar wo ek blogger hai ya phir kisi word ko hindi me type krna chahte hai jab. English to hindi typing online karna bohot asan hai aur kafi easy se ho bhi jati hai bas apko koi bhi word english me type krna hai aur uske baad apne ap uska hindi version apke samne aa jayega. Aj mai apko is post me btaunga ki kaise ap online english to hindi typing kar skte hai blogger ki help se.
English to Hindi Typing Method
- Sabse pehle apko apna laptop open karna hai aur jo bhi browser apke laptop me install hai use open kar lena hai jaise ki agar apke laptop me chrome browser hai to apko usse open kar lena hai.
- Browser open karne ke baad apko google me search karna hai blogger.com website ap chahe to direct is link par bhi click kar skte hai blogger.com aur is website par direct aa skte hai.
- Blogger website par ane ke baad apko google ki id se sign in kar lena hai agar apke pass google id nhi hai aur apko nhi pta hai ki kaise google par email id banate hai to hamari is post ko dekhe email id kaise banaye.
- Google se sign in karne ke baad apka blogger account open ho jayega usme sabse pehle apse poocha jayega blog ka title jo ki ap kuch bhi rakh skte hai.
- Blog ka title dene ke baad apko apne blog ke liye domain name dena hoga usme domain name me simple ap hari9289 daal de agar ye name nhi chl rha to ap aur koi number bhi daal skte hai aur uske baad next par click kar skte hai.
- Uske baad apse apka naam poocha jayega usme ap apna name daal de aur finish ka button dba de.
- Finish ka button click karne ke baad apko left side me New post ka option dikh rha hoga apko uspe click karna hai.
- New post par click karne ke baad apke samne editor window open ho jayegi usme sabse upar 3 dot bane honge kuch is tarah ( ... ) apko un dots par click karna hai.
- 3 dot par click karne ke baad apko globe ke symbol ka click karna hai aur Hindi word ko search karna hai.
- Hindi word search karke apko uspe click kar dena hai aur ap dekh paenge ki upar अ ka symbol aa gya hoga bas apko uspe click karna hai aur uske baad ap english me type karke hindi me likh paenge matlab pa english to hindi me type kar paenge.
- Agar apko wapas english me type karna hai to ap wapas अ ke symbol ko click kar skte hai aur english me type kar skte hai phir se.
Conclusion -
To yhi tha tarika english to hindi typing karne ka bina kisi software ko laptop me download kare sirf apko ek google id chaiye aur bas apka kaam ho jayega ap aram se english to hindi me type kar paenge. Iske ialawa bhi bohot se tarike hai hindi me type karne ke jaise ki ap apne laptop me kruti devi software ko install kar skte hai aur uski madad se Ms word me hindi me type kar skte hai bas apko language wale section me jake kruti devi select karna hoga.
Blogger se ap Hindi me hi nhi balki aur bhi kafi languages me typing kar skte hai whi globe wale symbol par click krke aur language select kar hai. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki kaise laptop me english to hindi type kar skte hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें