Pubg ko kabu kaise kare agar apke dimag me bhi ye question ata hai ki apka friend kaise p u b g ko acche se kabu kar leta hai but ap nhi kar pate to chinta mat kijiye aj mai apko kuch tips and tricks btaunga ki kaise ap pubg ko kabu kar skte hai aur apna gameplay accha bna skte hai.
Pubg ek online game hai jo ki India me ban ho chuka hai security reasons ki wajah se but kafi log ab bhi pubg korean version khelte hai jo ki abhi tak chlta hai India me aur kafi bade bade youtubers bhi pubg korean version khelte hai aur uski streaming bhi krte hai jaise ki dynamo gaming, Jonathan gaming etc.
Pubg ko Kabu kaise kare
- Agar apko pubg ko kabu karna hai to sabse pehle apko ek thik thak processor wala phone kharidna hoga jisse ki p u b g khelte hue apki game lag na kare aur ap aram se pubg khel paye.
- Agar apke pass pehle se hi accha phone hai to ap pubg ko kabu karne ke liye apne hisab se control set kar le jisse ki jab bhi koi enemy apke samne aye to ap usse jldi se mar paye aur ye jbhi ho payega jab apke control shi jagah par honge.
- Agla tarika pubg ko kabu karne ka hai ki ap training option par jake practice kare aur apna gameplay improve kare taki jab ap real me game khele to ap jldi se mare nhi aur apke jeetne ke chances bhi bdh jaye.
- Next tarika hai p u b g ko kabu karne ka ki ap game ke starting me hi acchi jagah land kare jha jaida enemy ate ho like Georgepool, bootcamp etc. Isse kya hoga ki apko ek sath jaida enemy handle karne ko milenge isse apka control bhi accha hoga game par aur ap jaida enemy bhi mar paoge.
- Next tarika hai pubg ko kabu karne ka ki ap TDM gameplay jaida se jaida khele taki ap close range me bhi enemy ko jaldi se mar pae aur apka game par control bhi accha ho jae.
Conclusion -
- To yhi the kuch tarike pubg ko kabu karne ke jisse ki ap apna gameplay improve kar skte hai aur ek pro player ban skte hai p u b g game me. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki p u b g ko kabu kaise karte hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें