How to improve Handwriting? Kya apke man me bhi ye question baar baar ata hai aur kya apke bhi grades handwriting ki wajah se kam rhe jate hai, kya apko bhi apki teacher handwriting ke liye punish krti hai, agar apko inme se koi bhi problem hoti hai to chinta mat kijiye aj mai apko is post me btaunga ki kaise ap apni handwriting improve kar skte hai wo bhi bohot asan tarike se.
8 ways to Improve Handwriting
- Keep your Shoulder relaxed - Keep your shoulder relaxed ka matlab ye hai ki apko kuch bhi write krte hue ek correct posture maintain karna hai taki apke shoulders per pressure na aye aur apki handwriting bigde nhi. Isliye apko ek likte hue ek correct posture maintain krna hai and then uske baad likhna shru krna hai.
- Prefer a soft and comfortable grip - Prefer a soft and comfortable grip ka matlab hai ki apko likhte hue pen ya phir pencil ko acche se grip krna hai taki apki handwriting kharab na ho. Ek baat dhyan rkhne wali ye bhi hai ki apko pen ya phir pencil ko jaida tightly hold nhi krna hai isse bhi apki handwriting kharab ho skti hai.
- Keep the space consistent - Keep the space consistent ka matlab ye hai ki apko ek word ke baad proper space dena hai taki apki sheet well formatted aur clean lage. Apko ek baat dhyan deni hai ki apko space na to jaida dena hai aur na hi kam dena hai matlab apko space bilkul consistent rkhna hai.
- Don't apply excess pressure - Writing krte hue apko dhyan rkhna hai ki khi ap jaida pressure na laga rhe ho isse pareshani ye hai ki ap jo bhi likenge wo next page par bhi highlight hoga aur ho skta hai ki apka page hi faat jaye. Isliye apko hamesha normal pressure dekar hi write krna hai.
- Keep the slants consistent - Slant ka meaning hai height. Keep the slant consistent ka matlab hai ki apko likhte hue ek correct slant maintain krna chaiye page ka taki ap comfortable ho ske likhte hue like agar ap right hand se likhte hai to apko page ka left point downward rkhna hai aur right point high rkhna hai same case left ke liye bhi hai.
- Don't join and mix letters - Don't tangle letter and words ka meaning ye hai ki apko cursive writing ka use minimum rkhna hai aur letters ko well formatted and space dekar likhna hai taki apke words clearly teachers ko smjh aa ske.
- Practice daily - Agar apko apni writing me consistently improvement chaiye to apko upar di hui tips ko roz follow krke write karna chaiye tabhi apki handwriting improve ho payegi.
- Use pen/pencil that gives a smooth flow - Is point ka meaning hai ki apko ek pen/pencil fix kar leni hai jisse ap comforatble ho and then exams me aur jha par bhi ap likhte hai wha par apko usi pen/pencil ka use karna hai taki ap likhte hue comfortable rhe ske aur apki handwriting bhi na bigde.
Conclusion -
To yhi the kuch points handwriting improve krne ke liye iske baad bhi aur kafi sare points hai handwriting improve krne ke liye but wo situations par depend krte hai aur waise bhi ham mese kafi log situation ke hisab se apni handwriting badal leta hai jaise ki agar exam start hi hua hai to ham acchi handwriting likhte hai but agar exam end hone wala hai to ham paper complete krne ke chakrr me fast fast likhte hai jisse hamari handwriting kharab ati hai. Hope krta hu apko post pasnad ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki how to improve your handwriting( handwriting kaise improve karte hai).
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें