How to improve logical thinking in coding? Kya apke man me bhi question baar baar ata hai kya apse bhi coding questions solve nhi hote ? Kya apko bhi program ka logic think krne me pareshani hoti hai aur kya kafi hours tak ek question par hi ap atke rhete hai. Don't worry aj mai apko kuch methods btauga jisse ki ap programming me logic improve kar skte hai aur question solve krke apna confidence level increase kr skte hai aur future me acchi placement ya phir khud ka startup bhi open kar skte hai.
How to improve Logical thinking in Coding?
- Start with basics - Agar ap bilkul programming me begineer hai to mai apko sabse pehle suggest karunga ki ap sabse phle ek programming language par apni pakad bna le wo programming language koi si bhi ho skti hai like c++, java , python etc. and then uske baad apko data structure and algorithms ki taraf move kar jana hai aur learn kari hui programming language me hi apko data structure and algorithms implement krke dekhne hai.
- Plan your day - Sabse first method hai programming me logic improve krne ka ki ap pehle se hi apna day plan kar le ki apko aj kon sa topic padhna hai ya phir kitne questions solve karne hai uske hisab se phir apne plan ko execute kare. Isse sabse bada faida ye hoga ki ap divert nhi honge aur apne day ko proper utilize karenge.
- Do atleast 5-6 questions per day - Hame pehle se hi plan kar lena hai ki aj ham kis topic par question karnenge like agar hame Dynamic programming par question karne hai to hame phle se hi decide kar lena hai ki hame ye question kis jagah se krne hai uske baad hame 5-6 question us topic par karne hai aur in question ka level kuch is tarah rkhna hai 2-easy 2-medium 2-hard. Agar ap programming me intermediate level par hai to ap per day 6 questions se bhi jaida kar skte hai.
- Plan your month - Plan your month se mera matlab ye hai ki apko phele se hi decide kar lena hai ki ap is month me kon kon se topic karne wale hai like agar ap is month me Array, strings , recursion, graph karne wale hai to apko ye phele se hi decide kar lena hai ki ap kis topic ko kitna time denge and uske hisab se apko questions practice krne hai.
- Don't waste time - Agar apse koi question nhi ho paa rha hai aur usko krte krte apko kafi time ho gya hai to apko uski hint dekh leni cahiye ya phir editorial dekh lena chaiye jisse ki apka time ek question par waste na ho aur ap dusre questions ko bhi solve kar paye.
- Note down important questions - Questions solve krte hue jab bhi apko lage ki apne koi new concept sikha hai to ap usse jaroor note down kare aur hafte me ek baar us note down kare hue concepts ko jaroor revise kare taki apko concepts yaad rhe aur ap us concept ko dusre questions me bhi use kar ske.
- Don't jump to hard questions directly - Ye bilkul fact baat hai ki agar apne abhi abhi programming karna start kiya hai aur ap directly hard questions par jump kar rhe ho to ho skta hai ki ap jldi demotivate ho jao aur programming leave kardo isliye starting me confidence build krne ke liye easy aur medium level questions jaida practice karne chaiye and then uske baad hard questions ki taraf jana chaiye.
- Read less Implement more - Read less Implement more ka meaning hai ki programming me theory read krne se jaida beneficial implement karna hota hai. Jab tak ap programming me implementation jaida nhi karoge jab tak apse question solve nhi honge isliye concept sikhne ke baad us topic par question solve jaroor kare.
- Don't Cram - Programming me hame kam se kam cheeze Cram karni chaiye because software engineering field me kab konsa new task aa jaye hame nhi pta hota and whi employee us task ko solve kar pata hai jisne programming acche se smjh ke kari hogi na ki questions cram kare honge. Interviews me bhi apse new question hi pooche jaenge aur apki Problem solving skills ko test kiya jayega agar apne questions sirf cram kare homge to shyd ap interviews me poochi hui problem solve na kar pae isliye programming ko bilkul smjh ke krna chaiye.
- Solve Puzzles - Agar apko program ka logic think krne me ab bhi problem hoti hai to ap online GeeksForGeeks website par jake generic puzzles solve kar skte hai jisse ki apke thinking level me growth ho ske aur jisse ki ap programming ke sath sath competitive programming me bhi apni pakad bna ske.
Some Coding Websites -
For begineers and Intermediates
For Advance
Conclusion -
Iske baad bhi aur kafi sari websites hai jha par ap coding kar skte hai and apni skills ko boost kar skte hain aur coding me apni logical thinking ko improve kar skte hai. Hope krta hu apko post pasand aya hoga aur apko smjh aya hoga How to improve logical thinking in programming.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें