Ajkal corona pandemic ki wajah se phone hi ek esa tarika hai jisse ham apne realtives ki, friends ki health ke bare me pooch skte hai ese me hame ek dusre ko phone krna hi padta hai but kafi logo ko pta hi nhi hota ki conference call kaise krte hai ya phir conference call kya hoti hai. Aj mai apko is post me btaunga ki Conference call kya hoti hai and How to do conference call ( Kaise ham conference call kar skte hai).
What is Conference call ? (Conference Call kya hoti hai?)
Conference call ke bare me btaye to conference call simple phone call se different hoti hai normal call me sirf 2 person hi ek dusre se baat kar skte hai but conference call se ham maximum 5 people ko connect kar skte hai maximum cases me.
Iske ilawa aur bhi tarike hote hai jisme internet ki jaroort padti hai conference call krne ke liye like skype, zoom, Google Hangouts, Google meet etc. Ham apko is post me mainly normal conference call ke bare me btaenge aur agar apko google meet conference meeting ke bare me janna hai to ap hamari is post ki read kar skte hai How to do use Google meet.
How to do Conference call? (Conference call kaise krte hai ?)
- Sabse pehle apko apna phone open krna hai aur jisko bhi phone krna hai usko phone kar dena hai.
- Phone connect hone ke baad apko Add wale option par click krna hai aur jis bhi dusre bande ko apko phone krna hai usko call kr dena hai.
- Yaad rkhe jab ap dusre bande ko call krenge to call hold par chli jaegi jab tak dusra banda call pick nhi krta.
- Uske baad apko merge Call option par click krna hai aur dusra participant bhi join ho jaega apki call me.
- Ap maximum 5 participant add kar skte hai isliye apne hisab se phone call me participants add kare.
Other Conference call apps
- FaceTime - Is conference call app me ap maximum 2 participants ko add kar skte hai but ye internet se chalne wala app hai to apna internet On krna na bhule.
- Zoom - Is conference call app me ap maximum 50 participants ko add kar skte hai but ye internet se chalne wala app hai to apna internet On krna na bhule. Sunne me aya tha ki ab Zoom app ki limit increase ho gyi hai aur 100 ho gyi hai aur premium users ke liye 1000 tak ho gyi hai.
- Google Hangouts - conference call app me ap maximum 150 participants ko add kar skte hai.
- Google Meet - Is conference call app me ap maximum 100 participants ko add kar skte hai.
Iske baad bhi aur bohot sare conference meeting call apps available hai market me but ye sab kuch mainly use hone wale app hai jo kafi industries aur companies meeting ke liye use krte hai.
CONCLUSION -
To yhi tha tarika conference meeting krne ka aur 2 se jaida participants se ek sath baat krne ka. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki How to do conference meeting ( Conference meeting kaise karte hai).
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें