Google meet ek online platform hai jha par ham meeting organize krke ek dusre se connect ho skte hai. Mainly number of participants ki limit google meet me 100 hai but ham isse apni needs ke according vary karwa skte hai.
India me mainly Google meet education purpose ke liye use kiya jata hai because of corona pandemic jiski wajah se school and college students online hi apni class lete hai aur google meet ka use krte hai But question ye hai ki How to use google meet on phone or laptop because kafi teachers ko aur parents ko ya phir students ko online classes lene me problem hoti hai iska main reason hai ki students ko aur teachers ko online class lene ki practice nhi hai jiski wajah se kuch smart students teachers ko pareshan bhi krte hai online classes me but Aj mai apko is post me btaunga How to use google meet so that teachers ko ya phir students ko problem na ho google meet use krne me.
How to use Google meet on Laptop
Is section ko mai 2 parts me divide krke apko btaunga jisme 1st part me mai apko btaunga ki students kaise google meet ko use kr skte hai and 2nd part me mai apko btaunga ki Teachers kaise google meet ko use kar skte hai laptop me.
Students Part
Agar ap ek student hai to mai assume kar rha hu ki teacher apko google meet ki link send karega jisko click krke apko class join krni hogi.
- So sabse first step yhi hai ki apko link par click karna hai uske baad sabse top par ap apni email id change kar skte hai warna default email id wha par show hogi jo apke laptop me save hai. Agar apki gmail id nhi hai to ap hamari is post ko dekh skte hai How to make gmail id on laptop.
- Google meet page open hone ke baad ap chahe to apni audio on ya phir off rkh skte hai same hi video ke liye bhi hai ap chahe to video on ya phir off rkh skte hai agar ap audio aur video off rkhenge to apki audio aur ideo kisi bhi participant ko show nhi hogi. Neeche di hui photo audio aur video ko on ya phir off krne ke symbol ko dikhati hai.
- Audio aur video ko on ya phir off krne ke baad apko Ask to join button par click karna hai aur uske baad wait krna hai because teacher jab tak apko allow nhi krega ap meeting me join nhi ho skte hai.
- Teacher ke allow krne ke baad ap meeting me enter kar jaoge jiski host apki teacher hogi. Now agar teacher apse apki screen share karne ko bolti hai to apko neeche diye hue Present Now ke option par click karna hai aur apni screen ko share karna hai.
- Agar apko total participants dekhne hai to ap top right corner me people wale symbol par click krke dekh skte hai.
- Agar ap teacher ko apna koi messgae convey krna chahte hai wo bi teacher ko bina disturb kare to ap upar diye hue chat ke option par jake apna message likh skte hai aur send kar skte hai.
Ye jitne bhi feature maine apko bataye ye sare main feature the iske ilawa ap apni video ka background bhi change kar skte hai iske sath sath ap setting ke option par jake apni audio aur video quality ko bhi change kar skte hai.
Teachers Part
Sabse pehle apko ek gmail id ki need hogi google meet ko use krne ke liye so sabse phele ek gmail id se login ho jaye apne laptop me.
- Gmail id se login hone ke baad apko Google Meet is link par click krna hai aur uske baad ap google meet ki home screen par aa jayenge.
- Google meet ki home screen par aa jane ke baad apko neeche diye hue New Meeting ke option ko click karna hai aur Start an Instant meeting par click krke google meet me enter ho jana hai.
- Google meet me enter ho jane ke baad apko neeche left option par click karna hai "Meeting details" aur wha par us link ko copy kar lena hai aur apne students ko WhatsApp par wo link send kar dena hai jisse ki students us link se meeting join kar ske.
- Teachers ke liye bhi sare option same hi hai jo students ke liye the like screen sharing, audio,video etc. Teacher hi students ko meeting me allow kar skte hai jisse ki unwanted students meeting me na aa ske.
How to use Google meet on Phone
Phone me google meet use karne ka alag tarika hai as compare to laptop me. Is Part ko bhi maine 2 category me divide kiya tha 1st students ke liye and 2nd teachers ke liye.
For Students
- Is case me bhi mai assume kar rha hu ki apke pass google meeting ki link present hogi jisko click krke ap class join kar skte hai.
- Sabse phele apko apne phone me gmail id se login kar lena hai tbhi ap google meet ka use kar paenge. Gmail id se login krne ke baad apko Play store par jake google meet app download kar lena hai.
- Google meet phone me install krne ke baad apko class ki link par click krna hai jo teacher ne apko send kari hogi.
- Link par click krne ke baad apse phone me poocha jeyga ki ap apni kis email id se login or join krna chahte hai usme apko apni id select kr deni hai.
- Email id par click krne ke baad apke samne google meet app open ho jayega same laptop ki tarah ap isme bhi apni audio or video on ya phir off kr skte hai.
- Google meet open ho jane ke baad apko Ask to join wale option par click karna hai aur wait krna hai jab tak teacher apko allow nhi krta meeting me.
- Teacher ke allow krne ke baad ap meeting me enter kar jaoge uske baad agar apko screen share krni hai to apko neeche diye hue 3 dots wale option par click krna hai aur uske baad share screen wale option par click kar dena hai.
- Agar apko teacher ko message send krna hai to apko unhi 3 dots par click krna hai aur uske baad "In call messages" wale option par click kar dena hai and then uske baad ap teacher aur participants ko message send kar sakoge ek baat yha dhyan deni wali ye hai ki apka message sabhi participants ko show hoga isliye dhyan se apna message type kare.
- Iske baad bhi kafi sare option hote hai google meet me agar ap phone se use kar rhe ho to like ap Show captions ka option click krke caption dekh skte hai jo bhi teacher bolega. Iske baad ap google team ko problem bhi report kar skte ho agar apko meeting ke time kuch problem aa rhi hai to.
For Teachers
Teachers ke liye bhi kafi similar procedure hai jo students ke liye hai bas kuch hi things different hai.
- Sabse pheli cheez to same hi hai ki apke phone me gmail id honi chaiye jisse ki ap google meet use kar ske.
- Google play se apko google meet download and install kar lena hai apne phone me and then usko open kar lena hai.
- Google meet open krne ke baad apko new meeting par click krna hai and then uske baad apko "Start an instant meeting" wale option par click karna hai uske baad ap new meeting me enter ho jayenge.
- New meeting me enter ho jane ke baad ap host hi rhenge and agar apko new students ko meeting me enter karwana hai to apko upar diye hui meeting id par click karna hai meeting id kuch is tarah hogi "cco-mhdn-qbw".
- Meeting id par click krne ke baad apko share joining info wale option par click karna hai and the uske baad ap meeting id khi par bhi share kar skte hai.
- Meeting id share karne ke baad apke pass request ayegi students ko allow krne ke liye usko apko dekh kar accept kar lena hai.
- Agar koi student misbehave krta hai to ap usko meeting mese remove bhi kar skte hai uske liye same apko meeting id wale option par jana hai uske baad jis bhi student ko apko remove krna hai uske samne wale 3 dots par click krke apko remove wale option par click kar dena hai and then wo student meeting se remove ho jayega.
Conclusion -
To yhi tha tarika Google meet phone or laptop se use krne ka jisko maine poori detail me expalin kiya hai ki agar ap student hai ya phir teacher hai kaise ap google meet use kar skte hai. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki google meet kaise use krte hai phone aur laptop me.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें