Computer science and engineering ek field hai ya phir ek tarika hai technology ke field me enter krna ka basically computer science ek course hai jo ham bachelor ya phir masters degree me krte hai apni studies ke time par but computer science and engineering basically ek B.tech Branch hai jo ham apni B.tech ki 4 years ki degree ke time par krte hai. B.tech ki full form Bachleor of technology hoti hai naam se pta chlta hai ham isme technology se related skills sikhte hai. Aj mai apko is post me btaunga ki kaise Computer science and engineering jisse ham short form me CSE bhi bolte hai wo kaise kare , kha se kare, aur Computer science se B.tech krne ke kya benefits hai. Agar apko Btech ke bare me poori jankari chaiye to ap is link par click karke dekh skte hai Benefits of B,Tech.
How to do Computer science and engineering?
Computer science and engineering ek engineering ki branch hai jo mainly ham apni Btech ki Bachleor degree me sikhte hai iska matlab ye hai ki agar apko computer science and engineering karni hai to apko 4 years ka B.tech course karna hoga with CSE branch.
Ab question ye ata hai ki B.tech kis college se kare kha se placements acchi milegi to mai apko bta du ki B.tech acche college se krne ke liye apko jee mains ka exam dena hoga uske basis par apko Top colleges me admission mil skta hai. Agar apko top colleges ki list dekhni hai to ap is link par click kar skte hai Top Btech Colleges in India. 4 years ki Btech CSE degree me ap kafi sari skills sikhte hai aur uske baad decide krte hai ki kis skill ko lekar apko apna career agge le jana hai like agar apko Artificial Intelligence me interest hai to ap is field me agge jaa skte hai aur big MNC's like google, Microsoft, me job paa skte hai.
Other Branches of B.tech
B.tech me sirf ek computer science branch hi nhi hoti iske baad bhi kafi sari branches available hai B.tech course me.
B.Tech in Mechanical
B.Tech in Electrical
B.Tech in IT(Information technology)
B.Tech in AutoMobile
B.Tech in Civil
B.Tech in BioTechnology
Iske baad bhi kafi sari new branches aa rhi hai B.Tech course me but ye kuch mai branches hai B.tech me jo maximum log adopt krte hai waise sabse jaida students Computer science aur IT hi select krte hai because in fields me job jaida hai aur risk minimal hai jo ki har koi chahata hai ki minimum tension ke sath job kare.
Benefits of Computer science and Engineering
- Sabse pehla advantage hai B.Tech CSE me karne ka ki ap big MNC's like Google, Microsoft, Amazon me job paa skte hai aur apki salary bhi kafi acchi rheti hai.
- Second Advantage hai B.tech CSE karne ka ki apko opportunity milti hai poore 4 years ke course ke time me ki ap new new technologies ko explore kar ske aur apne pasand ki field ko adopt kar ske.
- Third Advantage hai B.tech CSE karne ka ki ap new technologies seekh kar apna khud ka StartUp bhi open kar skte hai aur usse grow bhi kar skte hai over the period of time.
- Fourth Advantage B.Tech CSE karne ka hai ki ap koi particular skill seekh kar freelancing kar skte hai aur earning kar skte hai online. Freelancing me ab online logo ke liye kaam krte hai uske badle me log apko pay karte hai.
- Fifth advantage B.tech Cse karne ka hai ki ap online YouTube par logo ko padha skte hai jo bhi apne apni B.Tech ki journey me seekha hai.
- Sixth advantage B.tech Cse karne ka hai ki ap Android apps bna kar Playstore me publish kar skte hai aur wha se paise earn kar skte hai.
- Seventh Advantage B.Tech Cse karne ka hai ki ap Reasearch work me jaa skte hai aur agge jake nation ke liye contribute kar skte hai.
Conclusion -
So yhi tha Computer science and engineering ke bare me jisme hamne dekha ki computer science and engineering kon kon kar skta hai kaise computer science and engineering ko kiya jata hai aur last me hamne dekha ki computer science engineering karne ke kya benefits hai. Hope karta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aa gya hoga ki apko B.tech Computer science karni chaiye ya phir nhi.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें