Top 8 benefits of Giloy in Hindi || Giloy benefits in hindi || Giloy ke fayde kya hai? - New Tips and Tricks

Latest

मंगलवार, 13 अप्रैल 2021

Top 8 benefits of Giloy in Hindi || Giloy benefits in hindi || Giloy ke fayde kya hai?

Giloy ap mese kafi log jante hi honge ki giloy ki shakti kya hai kaise ye kafi sari diseases ko kam karne me istemal kiya jata hai. Jab se corona pandemic shuru hua hai tb se giloy ko janne ki desire logo me bdh gyi hai aur log janna chahte hai ki giloy ke kya benefits hai kyo giloy corona ko kam karne me helpful hai. Waise dekha jaye to Giloy India me jaida use kiya jata hai khaskar Ayurvedic medicine banane me iska sabse bada reason hai Giloy ke side effects bilkul hi nhi hai jiske karn Giloy ayurveda me kafi famous hai.



Giloy-benefits-in-hindi





What is Giloy? (Giloy kya hai?)

Giloy ke bar me batau to ye ek ayurvedic medicine hai jo amrit ke saman mani gyi hai kyoki giloy ke upyog se kafi sari bimariyan khatam ho jati hai jaise ki dengu, malaria, chiken pox etc. Giloy ke istemal purane jamane se hi kiya jata rha hai jisse ki logo ko rog mukt kiya jaa ske kyoki Giloy Piliya jisi diseases me bhi kafi helpful hai.





Benefits of Giloy (Giloy ke fayde ) -


  • Giloy and weight loss - Giloy ki madad se ap apna weight kam kar skte hai because studies se pta laga hai ki giloy weight loss karne me kafi helpful sabit hota aya hai jiske wajah se log giloy ka sewan krte hai. Aur sabse badi baat Giloy ke side effects nhi hai.


  • Giloy and Diabetes - Giloy aur Ashwagandha dono hi diabetes ko kam karne me helpful hai studies me bhi paya gya hai ki giloy blood sugar ko kafi acche se control krta hai jisse diabetes jaisi bimari bhi control me ki jaa skti hai.


  • Giloy and Immunity - Giloy aur green tea dono hi hamari immunity ko strong rkhte hai. Corona ki wajah se log apni immunity ka waise bhi jaida khayal rkhna chahate hai isliye hame apni immuntiy ko strong rkhne ke liye giloy ko istemal me lena chaiye. Giloy blood ko clean rkhta hai jisse puri body me blodd circulation acche se aur hamari immunity par koi effect na pade.


  • Giloy and Fever - Giloy ki madad se ham bukhar jaisi diseases par bhi kabu paa skte hai. Giloy hamari body me platelets ko down nhi hone deta jiski wajah se hame koi badi bimari nhi hoti isliye bukhar me giloy ka istemal karna chaiye.


  • Giloy and digestion - Giloy hamari pachan (digestive system)  shakti ko badhane me kafi helpful hai jiski wajah se hame gas, acidity jaisi problems ka samna nhi krna padta aur baar baar washroom ke chkrr nhi lagane padte. Agar apko gas,acidity jaisi bimari hai to ap adrak, giloy ko pees kar khada bna le aur roz 20-30 gram uska sewan kare apki sari problems door ho jayegi.


  • Giloy and Eye disease - Giloy ka kahada trifla churan me milakar roz 10-20 peene se ankho ki roshini badhti hai peete samay kahade me honey(shahed) jaroor milaye isse kahde ka asar dugana ho jata hai aur apki ankho ko bhi dugana fayda milta hai. Giloy motiyabind (cataract) jaisi bimariyo me bhi kafi helpful hai jaida jankari ke liye is page ko visit kare आंखों की ज्‍योति बढ़ाए अश्‍वगंधा.


  • Giloy and Jaundice - Giloy piliya jaisi bimari me bhi kafi helpful hai agar shi amount me giloy ka upyog kiya jaye to giloy piliya jaisi disease ko bhi khatam kar skta hai. Giloy ko kahada bna kar roz 10-20 gram honey ke sath peene se piliya jaisi bimari shant ki jaa skti hai iske ilawa giloy ke patto ko subah chach me milakar peene se bhi piliya jisi bimari me rahat milti hai.


  • Giloy and corona - Kafi logo ka question hai ki kya giloy se corona par bhi rok lagaayi jaa skti hai to iska answer yes hi hai because corona me hamari immunity strong honi chaiye tbhi ham corona se lad skte hai aur giloy same waisa hi kaam krta hai hamari immunity ko strong banata hai jisse ki corona ka khatra kam ho jata hai.



benefits-of-Giloy-in-Hindi





Summary - 

Akhir me bas yhi khena chaunga ki giloy ke isse bhi jaida fayde hai agar apko aur bhi jaida giloy ke fayde janne hai to ap is post ko dekh skte hai benefits of giloy in hindi . Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki Giloy kaise amrit ke saman mana gya hai kyoki ye itni sari diseases me helpful jo hai aur apko smjh aya hoga ki giloy ke benefits kya hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें