Top 10 Green Tea benefits in Hindi || Green Tea peene ke benefits kya hai || Advantages and Disadvantages of Green Tea - New Tips and Tricks

Latest

शुक्रवार, 9 अप्रैल 2021

Top 10 Green Tea benefits in Hindi || Green Tea peene ke benefits kya hai || Advantages and Disadvantages of Green Tea

Ajkal ki stress aur fatigue bhari life me Green Tea ek vardan ka kaam karti hai jisko peekar ham apne ap ko refresh kar skte hai. Green Tea waise to ek tarah se chae hi hai magar normal Tea aur Green tea me kafi difference hai whi difference aj mai apko btaunga ki Green tea peene ke kya benefits hai over normal Tea. Waise Normal tea ke bare me batau to Normal Tea jaida peene se hamare pet me gas ki shikayat ho skti hai but Green Tea peene se esa kuch nhi hota hai.




Green-Tea-benefits-in-Hindi




How to make Green Tea ? (Green Tea kaise banaye?)

Green Tea hamari body ko active rkhti hai aur hamari immunity ko bhi strong banane me kafi help karti hai. Green Tea banane ke liye sabse pehle apko 2 cup pani lena hai aur usko gas par rkh dena hai aur pani ko jab tak ubalna hai jab tak pani adha na ho jaye. Pani adha ho jane ke baad apko us pani ko cup me nikal lena hai uske baad apko Green Tea pouch us pani me dalne hai kuch time ke liye yaad rkhe jaida der ke liye Green tea pouch pani me na dale because usse Green Tea ka taste bigad skta hai. Toshi der ke baad Green tea pouch pani me se nikal le aur Green tea me apne mutabik sugar daal le aur uska sewan kare.




how-to-make-green-tea





Benefits of Green Tea (Green Tea ke benefits kya hai ?):-


  • Green Tea and Stress - Roz subah Green Tea peene se stress level kam hota hai aur mind pure din refresh rheta hai aur iske chalte hamara kaam me dhyan rheta hai aur ham jaida poore din jaida productive rhete hai.


  • Gree Tea and Fatigue - Green tea peene se Fatigue level body ka bilkul down ho jata hai aur hamari body phir se active state me aa jati hai.


  • Green Tea and Weight Loss - EveryDay Green Tea peene se ham apna weight loss bhi kar skte hai because Green Tea me bohot kam calories hoti hai jisse ki hamara weight increase nhi hota maintain rheta hai jo ki ajkal har koi chahta hai ki uska weight maintain rhe.


  • Green Tea and Immunity - Green Tea peene se hamari immunity level kafi shi rheta hai aur hame gas ,acidity jaisi diseases ka samna nhi krna padta waise bhi ajkal itni busy life me agar gas, acidity jaisi bimari lag jaye to life kafi mushkil ho jati hai. Gas ya phir acidity ki shikayat jaida tar heavy weight wale logo ko hoti hai.


  • Green Tea and Beauty - Green Tea peene se skin par hamesha glow rheta hai aur face beauty kafi shi rheti hai because Green Tea hamari skin me se extra dust. dirt nikalne me help krti hai aur hamari skin ke dead cells ko lighten bhi krti hai jisse ki face par hamesha glow rhe.


  • Green Tea and Heart diseases - Green tea peene se heart diseases par control paya jaa skta hai like heart attack. Green Tea hamare blood ko acche se circulate karne ka kaam krti hai jisse ki hamare heart tak blood shi se pahunche aur hamari body ya phir hamare heart ko blood ki kami na ho.


  • Green Tea and Blood pressure - Green Tea peene se high blood pressure jaisi diseases ko control kiya jaa skta hai because Green Tea hamare blood ko thin krti hai jisse ki hamara blood shi se puri body me circulate ho aur khi ek jagah store na rhe.


  • Green Tea and Diabetes - Green tea peene se badi badi diseases ko control me kiya jaa skta hai jisme se ek badi disease hai diabetes ki jo ki ajkal kafi logo me payi jati hai jiski wajah se logo ka khane ka taste hi chla gya hai. Waise Daibetes ke liye ap Yoga bhi kar skte hai aur sath me Green Tea bhi le skte hai jisse ki apki diabtetes control me rhe.


  • Green Tea and Cancer - Green tea peene se Cancer ka khatra kam rheta hai. Ek research ke according jin countries me Green Tea peene walo ki ginti jaida hai un countries me cancer rate kam hai jisse pta chlta hai ki Green Tea peene se cancerous cells body me mar jate hai jisse cancer ka khatra kam rheta hai. Green Tea peene se jin cancer ka kahtra kam rheta hai wo neeche diye gye hai.


Breast Cancer

Lung Cancer

Throat Cancer

Skin Cancer

Stomach Cancer


  • Green Tea and Cholesterol - 2011 ki study se pta chlta hai ki Green Tea peene se body me Cholesterol level kam hota hai jisse ki heart diseases ka khatra nhi rheta because Cholesterol ka amount body me jaida hone se heart diseases ka khatra badh jata hai.


  • Green Tea and Teeth - Green Tea peene se mana jata hai ki apke dant white ho jate hai hai agar unka color yellowish ho gya hai to but is baat ki koi pakki pusti nhi ki gyi hai researchers dwara. Agar apke teeth bhi white ho gye hai Green Tea peekar to hame comment krke jaroor bataye.




advantages-of-green-tea





Types of Green Tea - 


Green Tea ke bhi kafi sare types hote hai jo mai apko btaunga aur ye bhi btaunga ki kis type ki Green Tea peene se hame jaida benefits milenge.


Available Types of Green Tea - 

  • Bottled Green Tea
  • Green Tea bags
  • Loose-leaf
  • Powder Green Tea
  • Capsule Green Tea



Researchers ki mane to hame Bottled green tea ko jaida nhi peena chaiye because 2-4 cup bottled green tea me jitna polyphenol hota hai utna ek cup simple green tea me paya jata hai. Polyphenol hamari body me tumor growth ko rokne me kaam ata hai.




Disadvantages of Green Tea -


  • High amount me Green Tea peene se Green Tea ka taste kharab ho jata hai aur wo utni benefit bhi nhi krti isliye Green Tea ko fixed amount me hi peena chaiye.


  • Jo log blood ko patla krne ke liye drugs lete hai unhe Green Tea nhi peene chaiye because Green Tea peene se platelets kam hote hai. Jab hame koi injury ho jati hai aur blood nikalne lagta hai jab Platelets hi hamare blood ko nikalne se rokne ka kaam krte hai.


  • Jin logo ko kidney se related diseases hai unhe Green Tea nhi peene chaiye because unke liye Green Tea effective nhi hai.


  • Liver se related diseases jin bhi logo ko hai unhe Green Tea nhi peene chaiye because unke liye bhi Green Tea effective nhi hai.


  • Pregnant women ko bhi Green Tea nhi peene chaiye ese doctors bhi recommend krte hai isliye unhe Green Tea ka sewan kam se kam rkhna chaiye.





Conclusion - 

Dekhiye agar ap poore din kam krte hai aur day ke end me apko kafi fatigue hoti hai to ap Green Tea ka sewan jaroor kare because Green Tea stress me depression me aur fatigue me kafi help krti hai. Magar ap Green Tea apni body ke hisab se hi piye jitni jarrot ho utni hi Green Tea piye because kafi log weight loss krne ke chakrr me jaida Green Tea peena shru kar dete hai jo ki ek sahi baat nhi hai aur ek amount se upar jab bhi ham koi cheez lete hai to wo sideeffect hi krti hai. Hope krta hu apko smjh aya hoga ki Green Tea ke benefits kya hai aur Green Tea ke disadvantages kya hai aur sath me apko smjh aya hoga ki Green Tea kaise banate hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें