RIP ap mese kafi logo ne ye word pehle kafi baar suna hoga aur shyd ap me se kafi logo ne ise istemal bhi kiya hai. Jab bhi kisi ki death ho jati hai to ham RIP word ka istemal krte hai but ham se se kafi logo ko iski shi full form nhi pta hoti ya phir RIP ka shi meaning nhi pta hota. Ap mese kafi logo ne dekha bhi hoga ki jab kisi ki death ho jati hai to uski kabr par RIP likha hota hai. Aj mai apko is post me batunga ki RIP ka meaning and full form kya hota hai.
RIP full form and meaning -
Ap mese kafi log jab social media par kisi ki death ki news dekhte hai to RIP likhte hai but kya apko RIP ka meaning pta hai? Kya apko RIP ki full form pta hai? RIP ko log kafi baar Return if possible smjh lete hai jiska matlab hai ki agar ho ske to wapas aa jao but mai apko bta du ki RIP ki full form Return if possible nhi hoti RIP ki full form hoti hai Rest in Peace. Rest in Peace ka meaning hota hai ki ham marne wale ki atma ki shanti ki kamna krte hai aur kai baar unki family ke liye bhi pray krte hai ki god unhe shakti de is bure waqt me sambhalne ki.
Conclusion -
RIP ek latin word hai Requiescat in pace jiska meaning same hi hai jo maine apko upar explain kiya. Jab bhi ham social media par kisi ki death ki news dekhte hai to maximum time ham comment me RIP ya phir om shanti likhte hai bina RIP ka meaning jane. To aj se apko RIP ka meaning clear ho gya hoga esa mai hope krta hu agar ab bhi kuch doubt rhe gya ho to ap mujhe mail bhi kar skte hai ya phir neeche comment krke bhi pooch skte hai. Agge se agar koi aur is word ka istemal kare aur usko iska meaning ya phir shi full form na pta ho to ap unhe bta bhi skte hai ya phir is post ka link bhi share kar skte hai jisse ki us bande ko bhi RIP ka shi meaning aur full form pta chl ske.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें