Coding kaise sikhe? Coding ke kya benefits hai || Coding kaise sikhe in hindi || How to learn coding? - New Tips and Tricks

Latest

बुधवार, 7 अप्रैल 2021

Coding kaise sikhe? Coding ke kya benefits hai || Coding kaise sikhe in hindi || How to learn coding?

Coding kaise seekhe kya ap bhi internet par ye search kar rhe hai to chinta mat kijiye aj mai apko apni is post ke jariye btaunga ki kaise ap bilkul starting se coding seekh skte hai aur coding me champ ban skte hai mai apne bare me batau to mai khud B.tech computer science se kar rha hu aur maine bhi 3 saal pehle hi coding start kari thi mai ye to nhi kheta ki mai champ hu coding me but haa maine coding life ko bilkul karib se dekha hai aur infact abhi bhi dekh rha hu usi experience ko dekhte hue aj mai apko poori detail me batunga ki ap bhi coding kaise seekh skte hai bilkul asani se.



Coding-kaise-sikhe





What is coding? (Coding kya hai)

Coding ki journey ko start karne se pehle ye janna bohot jaroori hai ki coding hoti kya hai agar mai bilkul asan language me batau to coding ek tarika hai real life problems ko solve karne ka jisse ki hamari life aur better ban ske. 

Badi badi companies problem solve karne ke liye product banati hai aur us product me istemal hoti hai coding jo ki kisi bhi language me ho skti hai. 

Coding bhi ham kisi bhi language me kar skte hai bas iske liye hame requirement hoti hai ek laptop ki jo ki ajkal kafi logo ke pass hota hai. Agar ham example ki baat kare ki coding kha istemal hoti hai to mai apko bta du ki jitni bhi apke pass electronic gadget hai like phone, laptop, television sab me coding ki jati hai us coding ki help se machine ko pta chalta hai ki usse kya kam karna hai.



Coding-ke-kya-benefits-hai





Coding kyo seekhe? ( Why to learn coding?)

What is coding jaane ke baad apke man me ye sawal jaroor aya hoga ki ham coding kyo sikhe coding seekhne se kya hoga ,kya coding sikhne se hame job mil skti hai in sab questions ke answer mai apko abhi doonga. Kya coding sikhne se hame job mil skti hai iska answer yes hai haa ham coding sikh kar job paa skte hai magar uske liye hame select karna hoga ki ham kis line me jana chahte hai because technology ki field me har jagah coding use hoti hai jaise ki self driving car me Artificial intelligence ka use hota hai ese hi kisi aur company me koi aur technology par kaam hota hai isliye hame select karna jaroori hai ki hame kis line me jana hai. 


Jab bhi coding ka naam ata hai kafi logo ke dimag me badi badi comapnies ke naam ate hai like google, microsoft, apple, facebook etc magar mai apko bta du ki iske ilawa bhi bohot sari companies aur startups market me available hai jo apko apki coding skills ke upar hire kar skte hai aur apko decent pay bhi kar skte hai. 


Coding sikh kar ap freelancing jobs bhi paa skte hai jha par apko online logo ke liye kaam karna hota hai aur uske badle apko payment milti hai. Ap chahe to coding seekh kar dusre students ko coding sikha bhi skte hai chahe wo ap online sikhana chahe ya phir offline wo apke upar hai.



Coding-kaise-sikhe-in-hindi




Coding kha se sikhe? (Where to learn coding?)

Ab tak to ap logo ko pta chl hi gya hoaga ki coding sikhne se apko kya kya benfits mil skte hai magar ap me se kafi log soch rhe honge ki coding kaise sikhe , coding kha se sikhe to mai apko bta du ki agar ap bilkul coding start hi kar rhe hai to ap sabse pehle ek language par apni grip bna ligiye like c++ , java, pyhton ye language ap online youtube par bhi seekh skte hai warna ap cousera website par jake bhi free courses se padh skte hai aur agar ap paid courses se padhna chahte hai to ap udemy.com ya phir udacity.com website par jake bhi seekh skte hai. 


Language acche se sikhne me apko kam se kam 1- 2 mahine ka time lag skta hai agar ap coding sikhna just start hi kar rhe ho to but mai apko bta du ki starting me kafi log quit kar dete hai jab unko cheeze smjh nhi ati  but meri maniye ap quit mat kariye dheere dheere concepts par pakad banaiye uske baad apko cheeze smjh ana shru ho jayengi.


How-to-learn-coding?




 Language sikhne ke baad ap koi bhi trending technology par google par search kar skte hai like android development, Artificial intelligence, machine learning, web development aur in technology ke bare me todhi bohot jankari lekar ap decide kar skte hai ki apko kis technology me apna carrier banana hai uske baad ap phir se youtube par jakar in technology ko seekh skte hai ya phir ap cousera, udemy, udacity ya phir books se bhi seekh skte hai. 


Ek baar technology seekhne ke baad ap intenships ke liye bhi apply kar skte hai internship me companies apko kuch months ke liye job deti hai jisme ki apko kafi sari extra knowledge milti hai technology se realted ap chahe to intership ke liye internshala.com website par jaa skte hai aur intership ke liye apply kar skte hai. Agar ap coding hindi me sikhna chahte hai to ap Youtube par search kar skte hai ya phir mai apko neeche channels ke link bhi de deta hu ap jake check bhi kar skte hai.


1st Channel - Apna college

2nd Channel - CodeWithHarry

3rd Channel - PepCoding

4th channel - MySirG


Iske baad bhi kafi channels hai jo apko coding sikha skte hai ye kuch channel hai jin se mai seekhta hu ap chahe to ek baar in channels par jakar video dekh skte hai aur agar apko smjh aa jaye to continue bhi kar skte hai.




Conclusion -

At last mai bas yhi khena chaunga ki agar ap coding sikhne ke liye fully dedicated hai to ap coding ki journey ko full enjoy karenge magar mai apko bta du ki ye journey easy nhi hai but agar ham consistent rheke effort marenge to ham coding jarror se sikhenge aur ek acchi job ya phir apna khud ka startUp ya phir business bhi start kar skte hai. To yhi tha coding ke bare me ki coding kaise sikhe, coding ke kya benefits hai etc. Hope krta hu apko smjh aya hoga ki apko coding kaise start karni hai aur uske baad apna path kaise banana hai.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें