Aj ki Tarik me YouTube sabse jaida video dekhe jane wala platform ban gya hai iska sabse bada reason hai earning kyoki aur kisi platform par ham video upload krke earning nhi kr skte but YouTube par video upload krke ham earning kr skte hai. Magar ham youtube se direct apne phone ya phir laptop me video download nhi kr skte hai because YouTube iski permission nhi deta kisi ko bhi. Aj mai apko bataunga ki kaise ap YouTube Videos apne phone ya phir laptop me download kr skte hai wo bhi free me.
YouTube Videos download krne ka tarika : -
- Agar ap Laptop istemal kar rhe hai to apko sabse pehle chrome browser par jana hai aur uske baad Youtube.com website search kr deni hai. Magar ap phone istemal kr rhe hai to apko direct YouTube app open kar lena hai.
- YouTube open ho jane ke baad apko jis bhi video ko download krna hai us video ko YouTube par search krna hai.
- Search krne ke baad agar ap laptop istemal kar rhe hai to apko upar di hui link ko copy kar lena hai ctrl + C command ka use krke.
- Magar ap Phone istemal kar rhe hai to apko video ke neeche 3 dot par click krna hai aur share wale option par click krna hai uske baad apke samne copy link wala option aa jayega apko usko click kr lena hai aur YouTube se bahar nikal jana hai.
- Link copy krne ke baad apko YouTube Downloader - Download Video and Audio from YouTube | yt.video - YT.Video is link par click krna hai aur copy ki hui link ko samne diye hue search bar me search kar dena hai.
- Search karne ke baad apke samne option aa jayenge ki ap is video ko kis format me download krna chahate hai apko apne pasand ke according video download kar leni hai.
To yhi tha ek asan sa tarika video download krne ka wo bhi bilkul free me. Hope krta hu apko smjh aya hoga ki YouTube videos kaise download krte hai phone ya phir laptop me.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें