Instagram aj ki tarik me ek esa platform ban gya hai jo logo ke dilo par raaz krta hai iske amazing amazing features sabko acche lagte hai. Instagram par ham videos photos bhi daal skte hai aur logo ko dikha skte hai. Magar ham Instagram se direct photos and videos download nhi kar skte hai because Instagram iski permission ya phir option nhi deta hai. Aj mai apko bataunga ki kaise ap Instagram videos and photos download kar skte hai.
Instagram videos kaise download kare :-
- Sabse pehle apko Instagram app open kar lena hai aur jis bhi post ya phir video ko download karna hai usse open kr lena hai.
- Post open krne ke baad apko usme diye gye share ke option ko click krna hai aur us post ki link ko copy kar lena hai.
- Post ke link ko copy karne ke baad apko Download Instagram video and photos - Instagram Video Downloader (savefrom.net) is link ko open karna hai chrome browser me jake.
- Link open krne ke baad apko search bar me whi post ki link dalni hai jo apne Instagram se copy kari thi uske baad apko video download ka option show ho jayega bas apko whi se video download kar leni hai.
Note -- Yaad rkhe ki ap sirf un hi accounts ki video ya phir photo download kar skte hai jo ki private na ho jo account private hai unki video ya phir photo ap download nhi kar paoge.
Yhi tha tarika Instagram videos download karne ka wo bhi bilkul free me Hope krta hu apko smjh aya hoga ki kaise Instagram se video ya phir photo download kr skte hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें