Programming - Ap me se kafi logo ne ye word suna hoga aur ap me se kafi log programmer bhi honge. Programming word sunke sabse pehle dimag me ata hai computer ya phir koi bhi Programming languages like C++ , Java, Python etc.
What is Programming? (Programming kya hai ?)
(Programming is a way to instruct the computer to perform various tasks). Programming ek method hai jiski help se ham computer se apna kaam krwa skte hai aur apni daily life easy bhi bna skte hai. Maximum Electronic items me programming ki jati hai jisse ki wo apna kaam theek se kar ske. IT industry me sabse jaida focus programming par hi rheta hai jiski wajah se ajkal har koi programmer banna chahta hai jisse ki ek acchi job paa ske.
When to Start Programming?(Programming kab start kare)
(There is no age restriction in learning programming). Programming sikhne ke liye koi si bhi age shi hai bas apke dimag me nayi cheez sikhne ki iccha honi chaiye. Maximum students programming seekhne ke liye ya phir software developement me job pane ke liye B.Tech ya phir BCA krte hai magar mai apko bta du ki IT industry me apki degree itni matter nhi krti but apki skills jaida matter krti hai tbhi to kafi sare non computer science background se bacche IT industry me job paate hai.
Courses Related to Programming
Ap me se bhi kafi students ke dimag me ata hoga ki kon sa course krna chaiye jisse ki big MNC's me job mil ske waise to apki degree itni matter nhi krti agar apke pass acchi skills hai to but mai apko breif me bta deta hu ki kon konse course apko maximum skills sikha skte hai jo ki apko IT industry me job pane ke liye help karenge.
- B.Tech (CSE) -- B.tech ki full form hoti hai Bachleor in technology. B.tech ke andar bhi kafi sari branches hai jaise ki computer science, mechanical, electrical, biotech etc. Agar apko software engineer ki job me apply krna hai to ap B.Tech in Computer sceince ya phir B.tech in IT kar skte hai. B.Tech 4 saal ki hoti hai.
- BCA -- BCA ki full form hoti hai Bachleor in computer Application. BCA krke bhi ap ek software engineering ki job ke liye apply kar skte hai but kafi students BCA krne ke baad MCA bhi krte hai jisse ki aur jaida Industry ki knowledge le ske. BCA 3 saal ki hoti hai aur MCA 2 saal ki hoti hai.
- BE -- BE ki full form hoti hai Bachleor of engineering. BE India me 4 years ka course hota hai aur iski help se bhi ap ek software egineering ki job paa skte hai.
To ye hi the kuch course jo maximum log krte hai ek software engineering ki job pane ke liye. Iske baad bhi aur courses bhi hai jo log krte hai but main thing kya hai ki agar ap programming me aur problem solving skills me acche hai to ap kisi bhi college se ya phir kisi bhi background se ho apko job mil hi jati hai.
How to Learn Coding ? (Coding kaise seekhe?)
How to learn coding ye question maximum students ke mind me rheta hai ki coding kaise start kare kha se seekhe aur sabse main baat kis coding language ko seekhe. Sabse pehli baat ati hai ki kya coding hame IT industry me job dilane me help karegi ya nhi to iska answer yes hi hai because sabse pehle company apka coding round hi leti hai jisme apko questions diye hote hai aur apko unko code krna hota hai.
Coding seekhne se pehele apko sabse pehele ye janaa hoga ki ap kis programming language me comfortable hai jaise ki mai apna batau to mai C++ me jaida comfortable rheta hu as compare to other programming languages. To sabse phele apko koi bhi ek programming language pakadni hai aur usko master kar lena hai is process me apko 1-2 month ka time lag skta hai.
Ab ap soch rhe honge ki kya sirf programming language seekhne se hi apki job lag jayegi to iska answer no hai apko programming language ke sath sath data structure and algorithms bhi seekhne honge jisse ki apki problem solving skills boost ho ske. Coding ke liye ap YouTube ki help le skte hai ya phir Coursera se bhi ap seekh skte hai dono hi platform free me content provide krte hai.
Agar apko paid courses se padhna hai to ap Udemy.com ya phir Udacity.com par jake bhi course purchase kar skte hai. Isi tarh se ap apni coding ki journey start kar skte hai aur agge jake competitive programming bhi start kar skte hai.
How to Get job in Big MNC's like Google, Microsoft?
I think jo bhi engineering kar rhe hai computer science me un sbke dimag me ye baat jaroor ayi hogi ki google me job kaise paa skte hai. Sabse pehle mai apko bta du ki Big MNC's me job pane ke liye todhi mhenat krni padti hai tb jake hi apko job milti hai. Big Mnc's me job pane ke liye sabse pehle apki problem solving skills acchi honi chaiye sath me apke data structure and algorithms par pakad honi chaiye.
Agar apki ye dono skills acchi hai to ap coding round aram se pass kar loge. Iske baad Interview me apse apke subject related question pooche jaenge like DBMS, OS, Networking etc. jo ki ap apne course ke sath sath padthe hai. Iske baad apse project related question pooche jaenge jis bhi technology me apne project banaya hoga us technology se related apse question pooche jaenge like agar apne Android development me project banaya hai to apse Android development ke quetion pooche jaenge uske baad bhi apke 1-2 round aur honge jha par bhi question put honge uske baad jakar apka selection hoga ya nhi hoga ye company decide karegi.
Conclusion -
So guys yhi tha ki ap programming aur coding me apni journey kaise agge bdha skte hai aur ek acchi job paa skte hai. Hope krta hu apko smjh aya hoga ki apko is line me jana chaiye ya phir nhi maine apko bilkul detail me batane ki kosis kri hai ki apko kaise prepare krna hai big IT comapnies me jane ke liye.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें