KYC full form and meaning in Hindi || What is KYC and its importance? || What is the full form and meaning of KYC? - New Tips and Tricks

Latest

गुरुवार, 15 अप्रैल 2021

KYC full form and meaning in Hindi || What is KYC and its importance? || What is the full form and meaning of KYC?

KYC ek esa term hai jo banking aur finance ke field me sabse jaida istemal me liya jata hai jisse bank apne customers ki id ko verify krta hai ki uska customer valid customer to hai khi fraud to nhi hai. Bank time to time apne customer ki KYC karwata hai taki bank ki security shi se bani rhe aur bank me fraud hone ke chances kam ho ske. Aj mai apko is post me btaunga ki KYC kya hai? aur kyc ki full form kya hai aur sath me kyc ka meaning bhi btaunga aur kyc kyo jaroori hai.



KYC-full-form





KYC kya hai ?


Kyc ki full form hoti hai Know Your Customer jaisa ki full form se hi pta chlta hai ki kyc ke jariye bank ya phir finance sector ki companies apne customer ko janne ke liye kyc ka istemal krti hai jisse bank ko pta chl pata hai ki uska customer ek valid customer hai ya phir nhi. Kyc ke medium se bank apki id aur address ko verify karti hai jisse ki bank me fraud hone ke chances kam ho ske aur bank ke pass sirf valid customer hi ho.




Documents Required for Kyc

Kyc ke liye hamko documents ki jaroort padti hai jisse ham apni id ko verify karwa skte hai bank me ya phir finance sector ki companies me. KYC complete karne ke liye kafi hame koi bhi ek document ki jaroort hoti hai :-



List of Documents :-


  • Driving License
  • Aadhaar Card
  • Voter id
  • PAN card


Ye sabhi document me se apko koi bhi ek document dikha kar ap apna KYC procedure complete kar skte hai aur bank account ke benefit utha skte hai.




What-is-the-full-form-and-meaning-of-KYC





Why KYC is important?

KYC  karana important isliye hai because ajkal bank me fraud kafi hone lage hai jiski wajah se customer ki K Y C time to time karana aur usse up to date rkhna jaroori ho gaya hai. Aj kal online Kyc bhi karayi jati hai jisse e-Kyc bhi bolte hai jiski full form hoti hai Electronic-Know-Your-Customer. Electronic -Kyc me mainly Aadhar card aur thumb verfication ki jaroort hoti hai aur is procedure me jaida time bhi nhi lagta.




Conclusion - 

Kyc aj ke time me kafi important procedure ho gya hai because Kyc ki help se bank ki securities improve hui hai aur sath me customers bhi kafi shi benefit utha paa rhe hai KYC procedure complete karne ke baad jo ki ek kafi shi cheez hai. Hope krta hu apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki Kyc kya hai aur Kyc full form kya hai aur KYC ki importance kya hai.


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें