Anxiety ye word apne kafi baar suna hoga aur kafi log isse roz face bhi krte hai par kafi logo ko pta hi nhi hota ki anxiety ek badi disease ban skti hai agar time pe iska treatment na kiya jaye to. Anxiety ka meaning Hindi me Chinta hota hai aur ek famous movie ka dialogue bhi hai Chinta Chita saman hoti hai matlab agar kisi ke dimag me tension baith jaye to wo tension us admi ko poora khatam hi kar deti hai. Aj mai apko is post me btaunga ki Anxiety ka meaning hindi me kya hota hai (Anxiety meaning in hindi) wo bhi full detail me.
Anxiety word India me last year se jaida istemal me liya jane laga hai iska main reason hai Sushant Singh Rajput ki death jisko kafi log depression aur anxiety se bhi connect krne lage hai isi wajah se log Anxiety (Chinta) ko seroiusly lene lage hai aur iske upar work bhi kar rhe hai taki life jeene me jaida mushkil na ho.
Some facts on Anxiety -
- India me approx har state me 15-16% youth (Yuva) anxiety ka aur 20-21% youth depression ka shikar hote hai aur ye number continuosly badtha jaa rha hai.
- Anxiety ka main reason hai ki logo ki neend poori nhi ho pati hai jiski wajah se mind proper function nhi kr pata hai aur iski wajah se anxiety, depression jaisi diseases ho jati hai.
- Studies ke according neend poori na hone se 86% diseases hamari body me badh jati hai jo agge jake hamare liye aur jaida problem bhi create kar skti hai.
- Studies ke according male se jaida female ko anxiety, depression ki shikayat jaida hoti hai iska main reason ye hai ye female male se jaida bhavuk (attached) hoti hai.
Reasons of Anxiety ( Anxiety hone ki wajah kya hai ?)
- Anxiety and Family - Sbse pehla reason anxiety hone ka family ho skta hai mere khene ka matlab hai ki kafi logo ki personal life itni acchi nhi chl rhi hoti roz life me fights , clashes hote rhete hai jisse mind depression me chla jata hai aur wha se anxiety jaisi diseases hone lag jati hai.
- Anxiety and Sleep - Anxiety hone ka sabse bada aur main reason neend mana gya hai jisse ham english me sleep bhi kete hai. Stuides ki mane to 8hrs sleep hamari body ke liye shi mani gyi hai but kafi log itni neend poori nhi kar pate jiski wajah se mind ko proper rest nhi milta aur anxiety jaisi diseases hone lagti hai.
- Anxiety and fear - Kafi logo ko kafi cheezo se dar lagta hai jaise kuch logo ko height se dar lagta hai, kafi logo ko stage par jane se dar lagta hai ese hi kafi logo ko job ka dar lagta hai isi dar ki wajah se kafi log depression me chle jate hai aur dheere dheere ye cheez badi ho jati hai.
- Anxiety and pain - Kafi log dusro se door hone ka pain bear nhi kar pate aur depression me chale jate hai like agar kisi ke love ones ki death ho jati hai to wo is pain ko bear nhi kar pate hai aur depression me chale jate hai aur kafi baar wo is pain se bahar hi nhi aa pate hai.
Symptoms of Anxiety ( एंग्जाइटी लक्षण क्या हैं ?)
- Heart beat - Heart beat ka rapidly increase hona anxiety ki nishani hai agar apko bhi esa lagta hai ki apki heart beat jaida tez ho rhi hai to ek baar doctor se jaroor check karaye.
- Sweating - Poori body pasine(sweat) se bheeg jana wo bhi bina kisi reason ke anxiety ki nishani hai.
- Breathing - Proper breathing na le pana bhi anxiety ki nishani hai isliye ek baar doctor se check jaroor karaye.
- Chest pain - Suddenly chest pain hona bhi anxiety ki nishani hai isliye doctor se check jaroor karaye.
Treatment of Anxiety ( Anxiety dieases ka ilaj kya hai ?)
- Yoga - Subah roz yoga karne se anxiety, depression jaise disorders par kabu paya jaa skta hai aur body aur mind ko fresh rkha jaa skta hai.
- Sleep - Proper 8hrs ki sleep lene se bhi anxiety disorders par kabu paya jaa skta hai aur depression jaise disorder se door rha jaa skta hai.
- Nutrient - Proper food and nutrition time par lene se bhi anxiety ke asar ko kam kiya jaa skta hai.
- Listen music - Apne favorite music ko roz sunne se bhi mind ko refresh rkha jaa skta hai aur anxiety jaise disorders par kabu paya jaa skta hai.
Conclusion -
Anxiety , depression ye sab hamare dimag me hota hai agar ham chahe to ispar kabu paa skte hai aur isse bahar bhi nikal skte hai bas hame apne day ke routine ko shi se regulate karna hai aur jaida tension nhi rkhni hai kisi bhi baat ki. Hope krta hu apko ye post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki Anxiety ka meaning kya hota hai (Anxiety meaning in hindi) aur anxiety ko kaise control kiya jaa skta hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें