Aj ke jamane me har koi online paisa kamana chahta hai taki job ke sath sath side income bhi hoti rhe but hamese hi kai logo ko kafi sare tarike nhi pta hota online paise kamane ke agar apko bhi sare tarike janne hai online paise kamane ke to ap hamari is post ko dekh skte hai Online Paise kaise kamaye. Aj ham is post me baat krne wale hai ki Affiliate marketing kya hai (What is Affiliate marketing?) jo ki ek online paise kamane ka tarika hai.
What is the Affiliate Marketing? (Affiliate Marketing kya hai)
Affiliate marketing ek online paise kamane ka tarika hai jisme hame logo ke product ko sell karwana hota hai aur us ke badle hame commission milta hai wo commission hi hamari income hoti hai. Affiliate marketing me commission bhi kafi alag alag type ke hote hai ye commission category ke hisab se hote hai like agar technology se related product hai to shyd commission kam milega because technology gadget online jaida sell hote hai as compare to furniture, books etc. to isliye sab category ka alag alag commission hota hai agar apko commission list ki puri jankari chaiye to ap is link par click karke dekh skte hai amazon affiliate commission list.
Affiliate Marketing kaise kare ( How to do Affiliate Marketing?)
Affiliate marketing me ap online jake kisi bhi site ka online Affiliate program join kar skte hai aur apna account bna ke logo ko apni link se product buy karwake paise kma skte hai. Market me waise Amazon Affiliate kafi famous hai because Amazon company ek leading brand hai pure world me to log Amazon par kafi trust karte hai par apko kya pta hai ki Amazon ke ilawa bhi kafi sari online website hai jo Affiliate marketing ko promote karti hai agar apko sari website ke bare me janna hai to is link par click krke dekh skte hai Affiliate marketing websites List. Agar apko jaana hai ki Affiliate account kaise banate hai to ap is link par click krne dekh skte hai ki How to make Amazon Affiliate Account. is post me puri detail me bataya hua hai ki kaise ap Apna Amazon affiliate account bna skte hai wo bhi bilkul asani se.
Benefits of Affiliate Marketing
- Sabse pehla benefit to hai ki ap Affiliate marketing part time bhi kar skte hai aur ap apne khud ke boss honge mtlb ki apko kisi ke under kaam karne ke jaroort nhi hai.
- Dusra sabse bada benefit hai ki apka network bhadega log apko janne lagenge aur ek baar log apko janne lagnege ko apki link se product bhi buy karne lagenge.
- Affiliate marketing potential ki baat kare to is field me kafi potential hai bus ek baar apko mhenat karni hai aur uske baad ap aram se product sell kar paooge.
Note - Ap me se kafi log soch rhe honge ki ham link kha par daal skte hai jisse ki log hamari link se product buy kar ske to mai apko bta du ki ap WhatsApp par , Facebook par, Instagram par, Blogging sites par, Gmail par, Youtube par khi bhi link paste kar skte hai aur logo ko us product ke bare me bta skte hai jisse ki log apki link se product ko buy kar ske.
Conclusion -
Affiliate marketing me dekha jaye to Potential bohot hai magar uske sath sath competition bhi utna jaida hi hai Isliye hi kafi log starting me hi quit kar dete hai aur agge kaam nhi karte hai mai apko bta du ki starting me har cheez muhkil hoti hai but jaise jaise ham cheezo ko consistently karte rhete hai cheeze asan ho jati hai aur hame positive result bhi deti hai isliye apko bhi quit nhi krna hai aur aage kaam krte rhena hai.
To bas yhi tha ki Affiliate marketing kya hoti hai. Hope krta hua apko post pasand ayi hogi aur apko smjh aya hoga ki Affiliate marketing kya hai aur iske benfits kya hai.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें